kin aawazon ka sannaTa mujh mein hai
kin āvāzoñ kā sannāTā mujh meñ hai
jo kuchh bhī tujh meñ hai yā mujh meñ hai
terī āñkheñ merī āñkheñ lagtī haiñ
soch rahā huuñ kaun ye tujh sā mujh meñ hai
har mausam ne tere dar par dastak dī
āḳhirī dastak dene vaalā mujh meñ hai
dil kī miTTī lahū banā kar chhoḌegā
ye jo kāñch kā chaltā TukḌā mujh meñ hai
jis dariyā kā ek kinārā vo āñkheñ
us dariyā kā ek kinārā mujh meñ hai
khiltā hai vo phuul abhī ik khiḌkī meñ
jis ko āḳhir-kār mahaknā mujh meñ hai
jin āñkhoñ kī jhīleñ kañval khilātī haiñ
rañg sunahrā un jhīloñ kā mujh meñ hai
kin aawazon ka sannaTa mujh mein hai
jo kuchh bhi tujh mein hai ya mujh mein hai
teri aankhen meri aankhen lagti hain
soch raha hun kaun ye tujh sa mujh mein hai
har mausam ne tere dar par dastak di
aaKHiri dastak dene wala mujh mein hai
dil ki miTTi lahu bana kar chhoDega
ye jo kanch ka chalta TukDa mujh mein hai
jis dariya ka ek kinara wo aankhen
us dariya ka ek kinara mujh mein hai
khilta hai wo phul abhi ek khiDki mein
jis ko aaKHir-kar mahakna mujh mein hai
jin aankhon ki jhilen kanwal khilati hain
rang sunahra un jhilon ka mujh mein hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 228)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.