kin KHayalon mein rah gae hum log
kin ḳhayāloñ meñ rah ga.e ham log
phir savāloñ meñ rah ga.e ham log
jo tire haath se mayassar the
un nivāloñ meñ rah ga.e ham log
tirī yādoñ kī oḌhnī meñ kahīñ
tirī shāloñ meñ rah ga.e ham log
vaise chehra bhī ḳhuub hai lekin
tire bāloñ meñ rah ga.e ham log
'umr saarī guzār dī ham ne
kitne sāloñ meñ rah ga.e ham log
jin se mansūb ye mohabbat hai
un havāloñ meñ rah ga.e ham log
tere jaane kī der thī aur phir
ḳhastā-hāloñ meñ rah ga.e ham log
chaah meñ haath kuchh nahīñ aaya
aah vāloñ meñ rah ga.e ham log
kyā batā.eñ bhalā tumheñ 'ātif'
bas misāloñ meñ rah ga.e ham log
kin KHayalon mein rah gae hum log
phir sawalon mein rah gae hum log
jo tere hath se mayassar the
un niwalon mein rah gae hum log
teri yaadon ki oDhni mein kahin
teri shaalon mein rah gae hum log
waise chehra bhi KHub hai lekin
tere baalon mein rah gae hum log
'umr sari guzar di hum ne
kitne salon mein rah gae hum log
jin se mansub ye mohabbat hai
un hawalon mein rah gae hum log
tere jaane ki der thi aur phir
KHasta-haalon mein rah gae hum log
chah mein hath kuchh nahin aaya
aah walon mein rah gae hum log
kya bataen bhala tumhein 'atif'
bas misalon mein rah gae hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.