kin manzilon mein gardish-e-lail-o-nahaar hai
kin manzilon mein gardish-e-lail-o-nahaar hai
Maya Khanna Raje Barelvi
MORE BYMaya Khanna Raje Barelvi
kin manziloñ meñ gardish-e-lail-o-nahār hai
un kā karam bhī merī tabī.at pe baar hai
merī zabāñ pe harf-e-shikāyat kā mudda.ā
un kī zabāñ pe va.ada-e-be-e'tibār hai
dekhe ulaT ke koī jo tārīḳh ke varaq
har naġhma merā zāmin-e-fasl-e-bahār hai
ik kashmakash sī ho ga.ī maut-o-hayāt meñ
āñkhoñ ko merī jab se tirā intizār hai
ḳhud apne aap jaan le apne maqām ko
nau-e-bashar zarā bhī agar burdbār hai
phailī huī hai jab se chaman meñ ḳhizāñ kī baat
simTā huā sā jalva-e-husn-e-bahār hai
khātā hai kitnā ġham koī piitā hai kitnī mai
'rāje' ye apne zarf pe dār-o-madār hai
kin manzilon mein gardish-e-lail-o-nahaar hai
un ka karam bhi meri tabiat pe bar hai
meri zaban pe harf-e-shikayat ka muddaa
un ki zaban pe wada-e-be-e'tibar hai
dekhe ulaT ke koi jo tariKH ke waraq
har naghma mera zamin-e-fasl-e-bahaar hai
ek kashmakash si ho gai maut-o-hayat mein
aankhon ko meri jab se tera intizar hai
KHud apne aap jaan le apne maqam ko
nau-e-bashar zara bhi agar burdbar hai
phaili hui hai jab se chaman mein KHizan ki baat
simTa hua sa jalwa-e-husn-e-bahaar hai
khata hai kitna gham koi pita hai kitni mai
'raje' ye apne zarf pe dar-o-madar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.