kin mausamon mein aaegi ikkiswin sadi
kin mausamoñ meñ aa.egī ikkīsvīñ sadī
kyā kyā hameñ dikhā.egī ikkīsvīñ sadī
kitne na.e charāġh jalāne ke vāste
kitne diye bujhā.egī ikkīsvīñ sadī
sūkhe hue laboñ pe jo sadiyoñ kī pyaas hai
kyā pyaas vo bujhā.egī ikkīsvīñ sadī
har ik sadī ke ḳhvāb na.e aur na.e azaab
kyā khel ab rachā.egī ikkīsvīñ sadī
ye bīsvīñ sadī to qayāmat se kam na thī
kyā hashr ab uThā.egī ikkīsvīñ sadī
sab ke diloñ meñ guuñj hai jis inqalāb kī
vo guuñj kyā sunā.egī ikkīsvīñ sadī
jitne savāl dil meñ haiñ shoa.la-fishāñ 'jamīl'
sab kā javāb lā.egī ikkīsvīñ sadī
kin mausamon mein aaegi ikkiswin sadi
kya kya hamein dikhaegi ikkiswin sadi
kitne nae charagh jalane ke waste
kitne diye bujhaegi ikkiswin sadi
sukhe hue labon pe jo sadiyon ki pyas hai
kya pyas wo bujhaegi ikkiswin sadi
har ek sadi ke KHwab nae aur nae azab
kya khel ab rachaegi ikkiswin sadi
ye biswin sadi to qayamat se kam na thi
kya hashr ab uThaegi ikkiswin sadi
sab ke dilon mein gunj hai jis inqalab ki
wo gunj kya sunaegi ikkiswin sadi
jitne sawal dil mein hain shoala-fishan 'jamil'
sab ka jawab laegi ikkiswin sadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.