kin ujlaton se apni jawani guzar gai
kin ujlatoñ se apnī javānī guzar ga.ī
āñdhī sī ik uThī idhar aa.ī udhar ga.ī
duniyā ke hādsoñ ne bigāḌe hazār kaam
itnā huā ki apnī tabī.at sañvar ga.ī
be-vaj.h ye sukūn mayassar nahīñ mujhe
tum aa ga.e to gardish-e-daurāñ Thahar ga.ī
hotā hai maslahat kī binā par har inqalāb
aa.ī sahar jo bazm se sham-e-sahar ga.ī
paayā jise rafīq-e-amal har gunāh meñ
hairāñ huuñ maiñ ki ab vo javānī kidhar ga.ī
huuñ ḳhāmī-e-mazāq-e-tamanna se sharmsār
aaya nazar na kuchh bhī jahāñ tak nazar ga.ī
pābandī-e-quyūd-e-mohabbat ke bāvajūd
sau baar tujh ko DhūñDne merī nazar ga.ī
ai gardish-e-mudām sañbhalne bhī de mujhe
ab to kisī kī yaad bhī dil se utar ga.ī
'sāhir' ye qaul hazrat-e-ġhālib kā hai bajā
ab ābrū-e-sheva-e-ahl-e-nazar ga.ī
kin ujlaton se apni jawani guzar gai
aandhi si ek uThi idhar aai udhar gai
duniya ke hadson ne bigaDe hazar kaam
itna hua ki apni tabiat sanwar gai
be-wajh ye sukun mayassar nahin mujhe
tum aa gae to gardish-e-dauran Thahar gai
hota hai maslahat ki bina par har inqalab
aai sahar jo bazm se sham-e-sahar gai
paya jise rafiq-e-amal har gunah mein
hairan hun main ki ab wo jawani kidhar gai
hun KHami-e-mazaq-e-tamanna se sharmsar
aaya nazar na kuchh bhi jahan tak nazar gai
pabandi-e-quyud-e-mohabbat ke bawajud
sau bar tujh ko DhunDne meri nazar gai
ai gardish-e-mudam sanbhalne bhi de mujhe
ab to kisi ki yaad bhi dil se utar gai
'sahir' ye qaul hazrat-e-ghaalib ka hai baja
ab aabru-e-shewa-e-ahl-e-nazar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.