kinare ab kisi ke bhi sahaare dukh nahin lagte
kināre ab kisī ke bhī sahāre dukh nahīñ lagte
baḌe zālim ye lagte haiñ bechāre dukh nahīñ lagte
yatīmoñ kī tarah bas paal rakkhā haiñ inheñ ham ne
hameñ jo dukh mile haiñ vo hamāre dukh nahīñ lagte
kisī kī aañkh meñ rah kar kisī ke ḳhvāb dekhe haiñ
hazāroñ koshisheñ kiiñ par kināre dukh nahīñ lagte
pakaḌ lete haiñ bachche haath lākhoñ meñ bhī apnoñ ke
kahīñ jā kar kisī bhī ġhair dvāre dukh nahīñ lagte
kinare ab kisi ke bhi sahaare dukh nahin lagte
baDe zalim ye lagte hain bechaare dukh nahin lagte
yatimon ki tarah bas pal rakkha hain inhen hum ne
hamein jo dukh mile hain wo hamare dukh nahin lagte
kisi ki aankh mein rah kar kisi ke KHwab dekhe hain
hazaron koshishen kin par kinare dukh nahin lagte
pakaD lete hain bachche hath lakhon mein bhi apnon ke
kahin ja kar kisi bhi ghair dware dukh nahin lagte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.