kinare toDta munh-zor pani dekhna ho
kināre toḌtā muñh-zor paanī dekhnā ho
palaT aao jo dariyā-e-ma'ānī dekhnā ho
yahāñ hairat-shanāsā guftugūeñ Dūbtī haiñ
ma'ānī DhūñDhnā maqsad ho mā'nī dekhnā ho
liye phirtā huuñ saath apne unhī chiḌiyoñ kī chahkār
mujhe dekho jo peḌ ik āshyiānī dekhnā ho
hamārī be-bizā’at be-zabānī dekh lenā
agar koī samundar jāvedānī dekhnā ho
yahīñ par pech khātā Dūbtā zāhir hai hotā
agar 'arsa zamānī lā-zamānī dekhnā ho
ḳhud apne aap ko pahle sañbhal kar thoḌā dekhe
mujhe jis ne barāh-e-mehrbānī dekhnā ho
mire hamrāh kuchh kah kar na vāpas lauTnā ho
mire hamrāh qahr-e-be-zabānī dekhnā ho
nazar karnā mire muḌte hue raste kī jānib
kināra yā sitāra āsmānī dekhnā ho
hameñ dekho ki ham haiñ zinda-e-jāved 'jāved'
kisī ne koī faanī ġhair-fānī dekhnā ho
kinare toDta munh-zor pani dekhna ho
palaT aao jo dariya-e-ma'ani dekhna ho
yahan hairat-shanasa guftuguen Dubti hain
ma'ani DhunDhna maqsad ho ma'ni dekhna ho
liye phirta hun sath apne unhi chiDiyon ki chahkar
mujhe dekho jo peD ek aashyiani dekhna ho
hamari be-biza’at be-zabani dekh lena
agar koi samundar jawedani dekhna ho
yahin par pech khata Dubta zahir hai hota
agar 'arsa zamani la-zamani dekhna ho
KHud apne aap ko pahle sanbhal kar thoDa dekhe
mujhe jis ne barah-e-mehrbani dekhna ho
mere hamrah kuchh kah kar na wapas lauTna ho
mere hamrah qahr-e-be-zabani dekhna ho
nazar karna mere muDte hue raste ki jaanib
kinara ya sitara aasmani dekhna ho
hamein dekho ki hum hain zinda-e-jawed 'jawed'
kisi ne koi fani ghair-fani dekhna ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.