kinaron mein bhi aisi duriyan hoti nahin thin
kināroñ meñ bhī aisī dūriyāñ hotī nahīñ thiiñ
so is dariyā meñ pahle kashtiyāñ hotī nahīñ thiiñ
zamīñ apnī thī par fasleñ ugāte the kisī kī
zabāñ hotī thī apnī boliyāñ hotī nahīñ thiiñ
phir ik din ġhol yādoñ kā utar aayā thā dil meñ
'ajab jangal thā us meñ hirniyāñ hotī nahīñ thiiñ
hamāre darmiyāñ vo din bhī guzre haiñ ki ham tum
judā hote the par tanhā.iyāñ hotī nahīñ thiiñ
sunā karte haiñ us bastī meñ ik aisā kuaañ thā
ghaḌe bharne ko jis par laḌkiyāñ hotī nahīñ thiiñ
maiñ din aur raat meñ tafrīq kar saktā thā tab bhī
ki jab din raat meñ tabdīliyāñ hotī nahīñ thiiñ
ham aisī raat meñ aksar milā karte the 'qāsim'
diyā jaltā thā aur parchhā.iyāñ hotī nahīñ thiiñ
kinaron mein bhi aisi duriyan hoti nahin thin
so is dariya mein pahle kashtiyan hoti nahin thin
zamin apni thi par faslen ugate the kisi ki
zaban hoti thi apni boliyan hoti nahin thin
phir ek din ghol yaadon ka utar aaya tha dil mein
'ajab jangal tha us mein hirniyan hoti nahin thin
hamare darmiyan wo din bhi guzre hain ki hum tum
juda hote the par tanhaiyan hoti nahin thin
suna karte hain us basti mein ek aisa kuan tha
ghaDe bharne ko jis par laDkiyan hoti nahin thin
main din aur raat mein tafriq kar sakta tha tab bhi
ki jab din raat mein tabdiliyan hoti nahin thin
hum aisi raat mein aksar mila karte the 'qasim'
diya jalta tha aur parchhaiyan hoti nahin thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.