kirchi kirchi man ke andar sare KHwab chhupae hain
kirchi kirchi man ke andar sare KHwab chhupae hain
Nayyar Rani Shafaq
MORE BYNayyar Rani Shafaq
kirchī kirchī man ke andar saare ḳhvāb chhupā.e haiñ
sach kī ḳhātir dekho ham ne kyā kyā dard uThā.e haiñ
sach kā parcham le kar niklī jhūToñ kī is bastī meñ
zaḳhmī zaḳhmī jism hai merā patthar kaise khaa.e haiñ
tapte jalte patthar jaise log yahāñ bāzāroñ meñ
har-sū chhāyā sannāTā hai yaas ke gahre saa.e haiñ
chup kī gahrī ghātoñ meñ shorīda kuchh āvāzeñ haiñ
bastī bastī sahrā sahrā kaise tūfāñ chhā.e haiñ
kaise koī baat kare ab ta.azīreñ haiñ sochoñ par
amn ko yuuñ mahkūm kiyā hākim ne lab silvā.e haiñ
jhuuT daġhā ilzām-tarāshī jin kā sheva aam huā
hirs-zada sochoñ ke hāmil andar se ghabrā.e haiñ
'shafaq' abhī se chhoḌ ga.ī dil kyā tujh ko ma.alūm bhī hai
rāh-e-haqīqat meñ kis kis ne apne sar kaTvā.e haiñ
kirchi kirchi man ke andar sare KHwab chhupae hain
sach ki KHatir dekho hum ne kya kya dard uThae hain
sach ka parcham le kar nikli jhuTon ki is basti mein
zaKHmi zaKHmi jism hai mera patthar kaise khae hain
tapte jalte patthar jaise log yahan bazaron mein
har-su chhaya sannaTa hai yas ke gahre sae hain
chup ki gahri ghaton mein shorida kuchh aawazen hain
basti basti sahra sahra kaise tufan chhae hain
kaise koi baat kare ab taziren hain sochon par
amn ko yun mahkum kiya hakim ne lab silwae hain
jhuT dagha ilzam-tarashi jin ka shewa aam hua
hirs-zada sochon ke hamil andar se ghabrae hain
'shafaq' abhi se chhoD gai dil kya tujh ko malum bhi hai
rah-e-haqiqat mein kis kis ne apne sar kaTwae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.