kirdar nibha kar bhi fasane ke nahin the
kirdār nibhā kar bhī fasāne ke nahīñ the
kuchh log zamāne meñ zamāne ke nahīñ the
ham suukh ga.e haiñ to ye ehsās huā hai
paude tirī miTTī meñ lagāne ke nahīñ the
ai arz-e-madīna tire bāġhāt ke mālik
rah jaane ke haqdār the jaane ke nahīñ the
kis dukh meñ bharā shahr Dubone pe ba-zid hai
jis aañkh meñ do ashk bhī aane ke nahīñ the
ye sunnat-e-shabbīr na hotī to kabhī ham
ābā.ī vatan chhoḌ ke jaane ke nahīñ the
kirdar nibha kar bhi fasane ke nahin the
kuchh log zamane mein zamane ke nahin the
hum sukh gae hain to ye ehsas hua hai
paude teri miTTi mein lagane ke nahin the
ai arz-e-madina tere baghat ke malik
rah jaane ke haqdar the jaane ke nahin the
kis dukh mein bhara shahr Dubone pe ba-zid hai
jis aankh mein do ashk bhi aane ke nahin the
ye sunnat-e-shabbir na hoti to kabhi hum
aabai watan chhoD ke jaane ke nahin the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.