kirnon ki sawari pe mujhe aae lage hain
kirnoñ kī savārī pe mujhe aa.e lage haiñ
sūraj kā lahū chuus ke itrā.e lage haiñ
barse the mire ghar pe jo kal raat musalsal
patthar vo sabhī mere hī hamsā.e lage haiñ
kuchh phuul nahīñ ugte nasīboñ ke chaman meñ
vo tere muqaddar se kahīñ laa.e lage haiñ
pahchān tazabzub meñ bahut paḌ ga.ī hai ab
chehre pe na.e chehroñ ke kuchh saa.e lage haiñ
lahjoñ meñ vo 'altāf' halāvat kahāñ hai ab
kuchh niim ke patte vo mujhe khaa.e lage haiñ
kirnon ki sawari pe mujhe aae lage hain
suraj ka lahu chus ke itrae lage hain
barse the mere ghar pe jo kal raat musalsal
patthar wo sabhi mere hi hamsae lage hain
kuchh phul nahin ugte nasibon ke chaman mein
wo tere muqaddar se kahin lae lage hain
pahchan tazabzub mein bahut paD gai hai ab
chehre pe nae chehron ke kuchh sae lage hain
lahjon mein wo 'altaf' halawat kahan hai ab
kuchh nim ke patte wo mujhe khae lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.