kis aarzu mein nikle hain us par kya kahen
kis aarzū meñ nikle haiñ us paar kyā kaheñ
dekheñge jā ke kyā pas-e-dīvār kyā kaheñ
kyā ho ga.e tamām ḳharīdār kyā kaheñ
kyoñ so ga.e haiñ shahr ke bāzār kyā kaheñ
sab log chal rahe the salībeñ liye hue
thā un meñ kaun kaun gunahgār kyā kaheñ
hai kaun jis ko chhāñv se hai itnī dushmanī
rakkhe haiñ kis ne kaaT ke ashjār kyā kaheñ
pindār-e-dard kyā hai ye jin ko nahīñ ḳhabar
un sar-ḳhushoñ se lazzat-e-āzār kyā kaheñ
rusvā.iyoñ se tujh ko bachāne kī fikr meñ
kyā kyā hue haiñ tere liye ḳhvār kyā kaheñ
'ḳhāvar' unheñ ye zid hai sunāo na.ī ġhazal
ham soch meñ paḌe haiñ ki ash'ār kyā kaheñ
kis aarzu mein nikle hain us par kya kahen
dekhenge ja ke kya pas-e-diwar kya kahen
kya ho gae tamam KHaridar kya kahen
kyon so gae hain shahr ke bazar kya kahen
sab log chal rahe the saliben liye hue
tha un mein kaun kaun gunahgar kya kahen
hai kaun jis ko chhanw se hai itni dushmani
rakkhe hain kis ne kaT ke ashjar kya kahen
pindar-e-dard kya hai ye jin ko nahin KHabar
un sar-KHushon se lazzat-e-azar kya kahen
ruswaiyon se tujh ko bachane ki fikr mein
kya kya hue hain tere liye KHwar kya kahen
'KHawar' unhen ye zid hai sunao nai ghazal
hum soch mein paDe hain ki ash'ar kya kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.