kis ahd ki subh ho rahi hai
kis ahd kī sub.h ho rahī hai
kyoñ raat havās kho rahī hai
nikleñge sar-kashī ke paude
tārīkī jurm bo rahī hai
tab tak hai ḳhizāñ kī bād-shāhī
jab tak ki bahār so rahī hai
fir.aun-sifat ḳhirad kisī kī
haath apne lahū se dho rahī hai
tab tak hai tirā ġhurūr jab tak
tujh ko ye zamīn Dho rahī hai
duniyā ke liye kabhī na sochā
fikr apnī aap ko rahī hai
bāteñ nahīñ kiiñ ghumā-phirā kar
fitrat mirī sāf-go rahī hai
gulzār meñ ghuum phir ke shabnam
pattoñ pe guhar piro rahī hai
ai 'nūr' bujhī bujhī mirī shaam
dāman ko mire bhigo rahī hai
kis ahd ki subh ho rahi hai
kyon raat hawas kho rahi hai
niklenge sar-kashi ke paude
tariki jurm bo rahi hai
tab tak hai KHizan ki baad-shahi
jab tak ki bahaar so rahi hai
firaun-sifat KHirad kisi ki
hath apne lahu se dho rahi hai
tab tak hai tera ghurur jab tak
tujh ko ye zamin Dho rahi hai
duniya ke liye kabhi na socha
fikr apni aap ko rahi hai
baaten nahin kin ghuma-phira kar
fitrat meri saf-go rahi hai
gulzar mein ghum phir ke shabnam
patton pe guhar piro rahi hai
ai 'nur' bujhi bujhi meri sham
daman ko mere bhigo rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.