kis baat pe hanste hain kis baat pe rote hain

kis baat pe hanste hain kis baat pe rote hain
Sushrut Pant Zarraa
MORE BYSushrut Pant Zarraa
kis baat pe hañste haiñ kis baat pe rote haiñ
ham jaisoñ ke sukh-dukh to kuchh aur hī hote haiñ
mehnat kā sila apnā faaqe meñ rahā karnā
ham se nahīñ kaTtī hai jis fasl ko bote haiñ
tūfāñ se nikalnā to sāgar ko dikhānā thā
kashtī ko ḳhud apnī ham sāhil meñ Dubote haiñ
ashkoñ ke barasne se dil saaf to hotā hai
par aur bhī gahrā ho jis zaḳhm ko dhote haiñ
thak jaatī haiñ ye āñkheñ manzar ke badalne se
ik ḳhvāb meñ jagte haiñ ik ḳhvāb meñ sote haiñ
manzil na hamārī hai rasta na hamārā hai
sāmān ye kis kā hai kis bojh ko Dhote haiñ
jo kuchh bhī kareñ 'zarra' ye haath na tharrā.eñ
patthar bhī uThāte haiñ motī bhī pirote haiñ
kis baat pe hanste hain kis baat pe rote hain
hum jaison ke sukh-dukh to kuchh aur hi hote hain
mehnat ka sila apna faqe mein raha karna
hum se nahin kaTti hai jis fasl ko bote hain
tufan se nikalna to sagar ko dikhana tha
kashti ko KHud apni hum sahil mein Dubote hain
ashkon ke barasne se dil saf to hota hai
par aur bhi gahra ho jis zaKHm ko dhote hain
thak jati hain ye aankhen manzar ke badalne se
ek KHwab mein jagte hain ek KHwab mein sote hain
manzil na hamari hai rasta na hamara hai
saman ye kis ka hai kis bojh ko Dhote hain
jo kuchh bhi karen 'zarra' ye hath na tharraen
patthar bhi uThate hain moti bhi pirote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.