kis barte par armanon ki basti phailai jati hai
kis barte par armanon ki basti phailai jati hai
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
kis barte par armānoñ kī bastī phailā.ī jaatī hai
phailī huī duniyā kyā jāneñ kis din mañgvā.ī jaatī hai
jo ḳhūn-e-jigar meñ aatā hai bah jaatā hai vo āñkhoñ se
ham roz kamā.e jaate haiñ aur roz kamā.ī jaatī hai
bardāsht kī had se bāhar hai har-chand musībat ulfat kī
ham is ko uThā.e jaate haiñ jab tak ye uThā.ī jaatī hai
āshiq kī tabī.at khel nahīñ phaTkār hai kyā ġham-ḳhvāroñ par
kis ko bahlā.e jaate haiñ ye kyā bahlā.ī jaatī hai
kyā bād-e-fanā 'ḳhushtar' hai rakhā mātam to jiite jī kā thā
ab ham uThvā.e jaate haiñ ab saf uThvā.ī jaatī hai
kis barte par armanon ki basti phailai jati hai
phaili hui duniya kya jaanen kis din mangwai jati hai
jo KHun-e-jigar mein aata hai bah jata hai wo aankhon se
hum roz kamae jate hain aur roz kamai jati hai
bardasht ki had se bahar hai har-chand musibat ulfat ki
hum is ko uThae jate hain jab tak ye uThai jati hai
aashiq ki tabiat khel nahin phaTkar hai kya gham-KHwaron par
kis ko bahlae jate hain ye kya bahlai jati hai
kya baad-e-fana 'KHushtar' hai rakha matam to jite ji ka tha
ab hum uThwae jate hain ab saf uThwai jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.