kis etidal mein hai hulara zamin ka
kis e'tidāl meñ hai hulārā zamīn kā
TuuTe na inhimāk ḳhudārā zamīn kā
zer-e-zamīñ mile na mile kis ko kyā ḳhabar
ik TukḌā chāhiye hai hamārā zamīn kā
vo niist chāhe aur ye māñge hai hast ko
mumkin kahāñ ḳhalā se guzārā zamīn kā
aise laTaktā rahtā hai sar par har ek vaqt
ye āsmāñ ho jaise ḳhasāra zamīn kā
sayyārgāñ na dekh haqārat se is taraf
tujh ko na kar de raakh sharāra zamīn kā
saaya bhī jal rahā hai daraḳhtoñ kī oT meñ
is baar bhī na samjhe ishārā zamīn kā
koī kashish kahīñ kī mujhe khīñchtī ga.ī
phir haath meñ rahā na kinārā zamīn kā
ik chāñd ḳhaak par hai hamārā falak-maqām
ik phuul āsmāñ pe hamārā zamīn kā
bāñhoñ meñ dekh charḳh-e-kuhan ghūmte hue
dilchasp ho gayā hai nazāra zamīn kā
aisā na ho falak kī hathelī se jā gire
gardish meñ āj-kal hai sitārā zamīn kā
kis e'tidal mein hai hulara zamin ka
TuTe na inhimak KHudara zamin ka
zer-e-zamin mile na mile kis ko kya KHabar
ek TukDa chahiye hai hamara zamin ka
wo nist chahe aur ye mange hai hast ko
mumkin kahan KHala se guzara zamin ka
aise laTakta rahta hai sar par har ek waqt
ye aasman ho jaise KHasara zamin ka
sayyargan na dekh haqarat se is taraf
tujh ko na kar de rakh sharara zamin ka
saya bhi jal raha hai daraKHton ki oT mein
is bar bhi na samjhe ishaara zamin ka
koi kashish kahin ki mujhe khinchti gai
phir hath mein raha na kinara zamin ka
ek chand KHak par hai hamara falak-maqam
ek phul aasman pe hamara zamin ka
banhon mein dekh charKH-e-kuhan ghumte hue
dilchasp ho gaya hai nazara zamin ka
aisa na ho falak ki hatheli se ja gire
gardish mein aaj-kal hai sitara zamin ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.