kis ehtiyat se hum raushni mein Dub gae
kis ehtiyāt se ham raushnī meñ Duub ga.e
khulī jo aañkh to phir tīrgī meñ Duub ga.e
ajiib taur se raas aaya umr kā dariyā
isī se paar lage the usī meñ Duub ga.e
vo jāhilāna takallum pe sarfarāz huā
ham apne lahje kī shā.istagī meñ Duub ga.e
badalnā hogā ab andāz apne rone kā
tamām bachche achānak hañsī meñ Duub ga.e
ajiib chiiz thī rangīnī-e-fareb-e-bahār
jidhar nigāh uThī sādgī meñ Duub ga.e
samajh meñ aaya na un ko shanāvarī kā mizāj
samundaroñ se nikal kar nadī meñ Duub ga.e
vo jin ke dam se ujāloñ kā thā bharam ai 'shān'
ġhazab huā ki vahī tīrgī meñ Duub ga.e
kis ehtiyat se hum raushni mein Dub gae
khuli jo aankh to phir tirgi mein Dub gae
ajib taur se ras aaya umr ka dariya
isi se par lage the usi mein Dub gae
wo jahilana takallum pe sarfaraaz hua
hum apne lahje ki shaistagi mein Dub gae
badalna hoga ab andaz apne rone ka
tamam bachche achanak hansi mein Dub gae
ajib chiz thi rangini-e-fareb-e-bahaar
jidhar nigah uThi sadgi mein Dub gae
samajh mein aaya na un ko shanawari ka mizaj
samundaron se nikal kar nadi mein Dub gae
wo jin ke dam se ujalon ka tha bharam ai 'shan'
ghazab hua ki wahi tirgi mein Dub gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.