kis hunar-mandi se qatl-e-tirgi karte hain log
kis hunar-mandī se qatl-e-tīrgī karte haiñ log
merā kāshāna jalā kar raushnī karte haiñ log
jaane kaisā shahr hai ye maut kī āġhosh meñ
rah ke bhī har vaqt jashn-e-zindagī karte haiñ log
maiñ fasīl-e-shab pe raushan kartā huuñ dil kā charāġh
garche mere rāste meñ tīrgī karte haiñ log
yā-ilāhī gulsitān-e-zindagī kī ḳhair ho
jo nahīñ karnā hai ab aksar vahī karte haiñ log
dostī kā gir gayā me.aar kitnā āj-kal
sirf maqsad ke liye ab dostī karte haiñ log
mujh ko kyā ma.alūm lafzoñ ke baratne kā hunar
mujh se behtar shahr-e-fan meñ shā.erī karte haiñ log
zindagī ke haath se majbūr ho kar āj-kal
ḳhud-kushī har vaqt 'sābir-jauharī’ karte haiñ log
kis hunar-mandi se qatl-e-tirgi karte hain log
mera kashana jala kar raushni karte hain log
jaane kaisa shahr hai ye maut ki aaghosh mein
rah ke bhi har waqt jashn-e-zindagi karte hain log
main fasil-e-shab pe raushan karta hun dil ka charagh
garche mere raste mein tirgi karte hain log
ya-ilahi gulsitan-e-zindagi ki KHair ho
jo nahin karna hai ab aksar wahi karte hain log
dosti ka gir gaya mear kitna aaj-kal
sirf maqsad ke liye ab dosti karte hain log
mujh ko kya malum lafzon ke baratne ka hunar
mujh se behtar shahr-e-fan mein shaeri karte hain log
zindagi ke hath se majbur ho kar aaj-kal
KHud-kushi har waqt 'sabir-jauhari’ karte hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.