kis jagah chhoDa tha wo tir-o-kaman yaad nahin
kis jagah chhoḌā thā vo tīr-o-kamāñ yaad nahīñ
thā kahīñ sāhil-e-dariyā pe makāñ yaad nahīñ
jaane kis samt se jaage the vo sho.ale ghar meñ
jaane kis samt se niklā thā dhuāñ yaad nahīñ
mahke ḳhushbū se tirī kitne darīche dil ke
kis ne dī phir mire lafzoñ ko zabāñ yaad nahīñ
DhūñD kar laa.e koī ab vo ḳhalish pahlī sī
kho ga.e the tirī āñkhoñ meñ kahāñ yaad nahīñ
vaqt kī god bhī āseb-zada lagtī thī
amn kī ham ko koī bhī to azaañ yaad nahīñ
is qadar hosh hai ki sāmne chehra thā vahī
gum hue phir isī vahshat meñ kahāñ yaad nahīñ
chāroñ jānib hai vahī dard kā sahrā 'tālib'
ham faqīroñ ko koī kāhkashāñ yaad nahīñ
kis jagah chhoDa tha wo tir-o-kaman yaad nahin
tha kahin sahil-e-dariya pe makan yaad nahin
jaane kis samt se jage the wo shoale ghar mein
jaane kis samt se nikla tha dhuan yaad nahin
mahke KHushbu se teri kitne dariche dil ke
kis ne di phir mere lafzon ko zaban yaad nahin
DhunD kar lae koi ab wo KHalish pahli si
kho gae the teri aankhon mein kahan yaad nahin
waqt ki god bhi aaseb-zada lagti thi
amn ki hum ko koi bhi to azan yaad nahin
is qadar hosh hai ki samne chehra tha wahi
gum hue phir isi wahshat mein kahan yaad nahin
chaaron jaanib hai wahi dard ka sahra 'talib'
hum faqiron ko koi kahkashan yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.