kis ka shoala jal raha hai shoalagi se mawara
kis kā sho.ala jal rahā hai sho.alagī se māvarā
kaun raushan hai bhalā is raushnī se māvarā
jiite jī to kuchh nahīñ dekhā nazar se haañ magar
hairateñ DhūñDā kiye is hairatī se māvarā
kaun sā aalam hai mālik tere aalam meñ nihāñ
kaun sajde meñ chhupā hai bandagī se māvarā
koī to batlā.egā aage kahāñ muḌtī hai raah
koī to hogī zamīñ us malgajī se māvarā
baat jiine kī adā tak ḳhūb-sūrat hai magar
zindagī kuchh aur hai is zindagī se māvarā
ḳhāk-basta phir rahā hai kaun sī bastī meñ dil
kaun āḳhir ḳhasta-jāñ hai ḳhastagī se māvarā
ik nagar tarsā huā hai aur sahrā hai tavīl
aur ik naddī hai koī tishnagī se māvarā
kab se ḳhālī haath hai yaañ ek ḳhilqat ishq kī
ham bhī ho jā.eñge ek din bebasī se māvarā
in farāvāñ ne.amatoñ aur barkatoñ ke bāvajūd
koī muflis chal diyā hai muflisī se māvarā
apnī duniyā meñ agar phailī hai tārīkī to kyā
din kahīñ niklā to hogā tīrgī se māvarā
kis ka shoala jal raha hai shoalagi se mawara
kaun raushan hai bhala is raushni se mawara
jite ji to kuchh nahin dekha nazar se han magar
hairaten DhunDa kiye is hairati se mawara
kaun sa aalam hai malik tere aalam mein nihan
kaun sajde mein chhupa hai bandagi se mawara
koi to batlaega aage kahan muDti hai rah
koi to hogi zamin us malgaji se mawara
baat jine ki ada tak KHub-surat hai magar
zindagi kuchh aur hai is zindagi se mawara
KHak-basta phir raha hai kaun si basti mein dil
kaun aaKHir KHasta-jaan hai KHastagi se mawara
ek nagar tarsa hua hai aur sahra hai tawil
aur ek naddi hai koi tishnagi se mawara
kab se KHali hath hai yan ek KHilqat ishq ki
hum bhi ho jaenge ek din bebasi se mawara
in farawan neamaton aur barkaton ke bawajud
koi muflis chal diya hai muflisi se mawara
apni duniya mein agar phaili hai tariki to kya
din kahin nikla to hoga tirgi se mawara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.