kis karan itne rangon se yari kis karan ye Dhang
Interesting Fact
(On the death of Ahmad Parwez)
kis kāran itne rañgoñ se yaarī kis kāran ye Dhañg
jitne rañg bhī chāho ziist meñ bhar lo maut kā ek hī rañg
nām-o-numūd se itnī duurī Thiik hai lekin āḳhir kyuuñ
saare jahāñ se qaus-e-quzah kā rishta apne aap se jañg
pal meñ dhajjī dhajjī bikharne vaalī aisī hai ye ziist
ik se ziyāda bachchoñ ke hāthoñ meñ jaise kaTī patañg
umr bitā dī apnoñ aur ġhairoñ ke naqsh banāne meñ
jab apnī tasvīr banānā chāhī phīke paḌ ga.e rañg
maiñ ik likhne vaalā mujh ko batānā yaar ahmad-'parvez'
lauh-o-qalam se aage bhī hai kyā ye duniyā itnī tañg
kis karan itne rangon se yari kis karan ye Dhang
jitne rang bhi chaho zist mein bhar lo maut ka ek hi rang
nam-o-numud se itni duri Thik hai lekin aaKHir kyun
sare jahan se qaus-e-quzah ka rishta apne aap se jang
pal mein dhajji dhajji bikharne wali aisi hai ye zist
ek se ziyaada bachchon ke hathon mein jaise kaTi patang
umr bita di apnon aur ghairon ke naqsh banane mein
jab apni taswir banana chahi phike paD gae rang
main ek likhne wala mujh ko batana yar ahmad-'parwez'
lauh-o-qalam se aage bhi hai kya ye duniya itni tang
- Book : Khayaabaan (Pg. 119)
- Author : Hassan Abbas Raza
- Publication : Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.