kis ke chamke chand se ruKHsar qaisar-bagh mein
kis ke chamke chāñd se ruḳhsār qaisar-bāġh meñ
chāñdnī hai sāya-e-dīvār qaisar-bāġh meñ
fil-haqīqat ye bhī kam gulzār-e-jannat se nahīñ
hūreñ phirtī haiñ sar-e-bāzār qaisar-bāġh meñ
paañv kā yaañ zikr kaisā saaf hai aisī zamīñ
dil phisalte haiñ dam-e-raftār qaisar-bāġh meñ
zer-e-shāḳh-e-gul agar sabza kabhī sone lagā
shor-e-bulbul ne kiyā bedār qaisar-bāġh meñ
itne patte bhī na hoñge gulshan-e-firdaus meñ
jis qadar phūloñ ke haiñ ambār qaisar-bāġh meñ
tishnigān-e-shauq haiñ shīrīñ-laboñ ke mehmāñ
baT rahā hai sharbat-e-dīdār qaisar-bāġh meñ
qatre shabnam ke rag-e-gul par dikhāte haiñ bahār
gundh rahe haiñ motiyoñ ke haar qaisar-bāġh meñ
sāya-e-bāl-e-humā kyā DhūñDhtā hai ai 'amīr'
baiTh zer-e-sāya-e-dīvār qaisar-bāġh meñ
kis ke chamke chand se ruKHsar qaisar-bagh mein
chandni hai saya-e-diwar qaisar-bagh mein
fil-haqiqat ye bhi kam gulzar-e-jannat se nahin
huren phirti hain sar-e-bazar qaisar-bagh mein
panw ka yan zikr kaisa saf hai aisi zamin
dil phisalte hain dam-e-raftar qaisar-bagh mein
zer-e-shaKH-e-gul agar sabza kabhi sone laga
shor-e-bulbul ne kiya bedar qaisar-bagh mein
itne patte bhi na honge gulshan-e-firdaus mein
jis qadar phulon ke hain ambar qaisar-bagh mein
tishnigan-e-shauq hain shirin-labon ke mehman
baT raha hai sharbat-e-didar qaisar-bagh mein
qatre shabnam ke rag-e-gul par dikhate hain bahaar
gundh rahe hain motiyon ke haar qaisar-bagh mein
saya-e-baal-e-huma kya DhunDhta hai ai 'amir'
baiTh zer-e-saya-e-diwar qaisar-bagh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.