kis ke jalwon ne dikhai wadi-e-ulfat mujhe
kis ke jalvoñ ne dikhā.ī vādī-e-ulfat mujhe
khīñche hai ik bholī-bhālī sāñvlī sūrat mujhe
mai-kade se uTh ke kal ma.abad meñ jā baiThā thā maiñ
ġhairoñ kī majlis meñ yaaro le ga.ī vahshat mujhe
kaTtā hai din us ke hī dilkash ḳhayāloñ meñ sadā
shab mile hai ḳhvāb meñ koī parī-tal.at mujhe
hāsil-e-umr-e-ravāñ dāġh-e-tamannā hai faqat
ishq-e-nargis meñ rahī hai ḳhvāhish-e-vaslat mujhe
ai 'jalālī' bārhā DhūñDā tujhe vīrānoñ meñ
kab mayassar hotī hai vahshī tirī sohbat mujhe
kis ke jalwon ne dikhai wadi-e-ulfat mujhe
khinche hai ek bholi-bhaali sanwli surat mujhe
mai-kade se uTh ke kal mabad mein ja baiTha tha main
ghairon ki majlis mein yaro le gai wahshat mujhe
kaTta hai din us ke hi dilkash KHayalon mein sada
shab mile hai KHwab mein koi pari-talat mujhe
hasil-e-umr-e-rawan dagh-e-tamanna hai faqat
ishq-e-nargis mein rahi hai KHwahish-e-waslat mujhe
ai 'jalali' barha DhunDa tujhe viranon mein
kab mayassar hoti hai wahshi teri sohbat mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.