kis ke pahlu mein ye zindagi rah gai
kis ke pahlū meñ ye zindagī rah ga.ī
kis kī āñkhoñ meñ apnī ḳhushī rah ga.ī
vaqt saarā nikaltā gayā haath se
sirf baaqī bañdhī ye ghaḌī rah ga.ī
kitne kirdār lekin fanā ho ga.e
ik kahānī sadā dard kī rah ga.ī
kitne tūfāñ uThe kitne sailāb bhī
ik 'imārat musalsal khaḌī rah ga.ī
yuuñ to nazroñ se kyā kyā nahīñ kah gayā
baat vo ik laboñ meñ dabī rah ga.ī
kis ke pahlu mein ye zindagi rah gai
kis ki aankhon mein apni KHushi rah gai
waqt sara nikalta gaya hath se
sirf baqi bandhi ye ghaDi rah gai
kitne kirdar lekin fana ho gae
ek kahani sada dard ki rah gai
kitne tufan uThe kitne sailab bhi
ek 'imarat musalsal khaDi rah gai
yun to nazron se kya kya nahin kah gaya
baat wo ek labon mein dabi rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.