kis ki aahaT pe Dar gaya hoga
kis kī aahaT pe Dar gayā hogā
Dar ke maare vo mar gayā hogā
merā saaya jo saath chaltā thā
baa'd mere kidhar gayā hogā
khīñchtā thā jo terī tasvīreñ
vo musavvir to mar gayā hogā
ḳhuub vāqif huuñ us kī fitrat se
qaul se vo mukar gayā hogā
chhuptā phirtā hai merī nazroñ se
kaam apnā vo kar gayā hogā
kis ki aahaT pe Dar gaya hoga
Dar ke mare wo mar gaya hoga
mera saya jo sath chalta tha
ba'd mere kidhar gaya hoga
khinchta tha jo teri taswiren
wo musawwir to mar gaya hoga
KHub waqif hun us ki fitrat se
qaul se wo mukar gaya hoga
chhupta phirta hai meri nazron se
kaam apna wo kar gaya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.