kis ki aahon ka hai asar mujh mein
kis kī aahoñ kā hai asar mujh meñ
zarra zarra hai muntashir mujh meñ
harf yādoñ ke miT ga.e lekin
zer baaqī haiñ aur zabar mujh meñ
kaise tajsīm ho jafā kī tirī
bhuul jaane kā hai hunar mujh meñ
kyoñ zamāna salām kartā hai
aisā kyā hai ye muftaḳhar mujh meñ
apnī hastī ko bhuul jaatā huuñ
terī chāhat hai is qadar mujh meñ
'shād' maujoñ se ab to laḌne kā
hausla hai buland-tar mujh meñ
kis ki aahon ka hai asar mujh mein
zarra zarra hai muntashir mujh mein
harf yaadon ke miT gae lekin
zer baqi hain aur zabar mujh mein
kaise tajsim ho jafa ki teri
bhul jaane ka hai hunar mujh mein
kyon zamana salam karta hai
aisa kya hai ye muftaKHar mujh mein
apni hasti ko bhul jata hun
teri chahat hai is qadar mujh mein
'shad' maujon se ab to laDne ka
hausla hai buland-tar mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.