kis ki nazar se utre kise bha rahe hain hum
kis kī nazar se utre kise bhā rahe haiñ ham
apne kiye pe aaj bhī pachhtā rahe haiñ ham
hoñToñ se apne chuum ke tum jis meñ rakh ga.e
kuchh din se us kitāb meñ murjhā rahe haiñ ham
matlab ke is jahān meñ apnā koī to hai
dil ko isī ḳhayāl se bahlā rahe haiñ ham
dekheñ kisī ke sāmne khul kar na aa.ine
apnā samajh ke aap ko samjhā rahe haiñ ham
jhagḌā hamārā ishq se pahle bhī ḳhuub thā
muñh lagne nā-murād ke phir jā rahe haiñ ham
ash.ār meñ sameT ke gulshan kā rūp-rang
saare jahāñ meñ ishq ko phailā rahe haiñ ham
dil meñ biThā ke rakhnā yahī baat jān-e-man
pahle bhī ik dafa tirī duniyā rahe haiñ ham
bulbul ne shāḳh-e-dil pe banāyā hai ek ghar
ġhazloñ se is makān ko mahkā rahe haiñ ham
'sohil' hamāre kaam se kuchh log ḳhush na the
ab aa ke is maqām pe itrā rahe haiñ ham
kis ki nazar se utre kise bha rahe hain hum
apne kiye pe aaj bhi pachhta rahe hain hum
honTon se apne chum ke tum jis mein rakh gae
kuchh din se us kitab mein murjha rahe hain hum
matlab ke is jahan mein apna koi to hai
dil ko isi KHayal se bahla rahe hain hum
dekhen kisi ke samne khul kar na aaine
apna samajh ke aap ko samjha rahe hain hum
jhagDa hamara ishq se pahle bhi KHub tha
munh lagne na-murad ke phir ja rahe hain hum
ashaar mein sameT ke gulshan ka rup-rang
sare jahan mein ishq ko phaila rahe hain hum
dil mein biTha ke rakhna yahi baat jaan-e-man
pahle bhi ek dafa teri duniya rahe hain hum
bulbul ne shaKH-e-dil pe banaya hai ek ghar
ghazlon se is makan ko mahka rahe hain hum
'sohil' hamare kaam se kuchh log KHush na the
ab aa ke is maqam pe itra rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.