kis kis ka munh band karoge kis kis ko samjhaoge
kis kis kā muñh band karoge kis kis ko samjhāoge
dil kī baat zabāñ par lā ke dekho tum pachhtāoge
aaj ye jin dīvāroñ ko tum ūñchā karte jaate ho
kal ko in dīvāroñ meñ ḳhud ghuT ghuT ke mar jāoge
maazī ke har ek varaq par sapnoñ kī gul-kārī hai
ham se naata toḌne vaalo kitne naqsh miTāoge
haath chhuḌā ke chal to diye ho lekin itnā yaad rakho
aage aise moḌ mileñge saa.e se Dar jāoge
tum ko ādam-zād samajh ke ham ne haath baḌhāyā thā
kis ko ḳhabar thī chhūte hī tum patthar ke ho jāoge
dil sā maskan chhoḌ ke jaanā itnā bhī āsān nahīñ
sub.h ko rasta bhuul ga.e to shaam ko vāpas aaoge
jism ke kuchh bechain taqāze zabt se bāhar hote haiñ
kab tak dil ko dhokā de kar yādoñ se bahlāoge
kis kis ka munh band karoge kis kis ko samjhaoge
dil ki baat zaban par la ke dekho tum pachhtaoge
aaj ye jin diwaron ko tum uncha karte jate ho
kal ko in diwaron mein KHud ghuT ghuT ke mar jaoge
mazi ke har ek waraq par sapnon ki gul-kari hai
hum se nata toDne walo kitne naqsh miTaoge
hath chhuDa ke chal to diye ho lekin itna yaad rakho
aage aise moD milenge sae se Dar jaoge
tum ko aadam-zad samajh ke hum ne hath baDhaya tha
kis ko KHabar thi chhute hi tum patthar ke ho jaoge
dil sa maskan chhoD ke jaana itna bhi aasan nahin
subh ko rasta bhul gae to sham ko wapas aaoge
jism ke kuchh bechain taqaze zabt se bahar hote hain
kab tak dil ko dhoka de kar yaadon se bahlaoge
- Book : kulliyat -e-Murtaza Barlas (Pg. 115)
- Author : Murtaza Barlas
- Publication : Alhamd Publication Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.