kis kis ke aansu puchhoge aur kis kis ko bahlaoge
kis kis ke aañsū pūchhoge aur kis kis ko bahlāoge
ik din aa.egā tum bhī shāmil un meñ ho jāoge
rañg havā maiñ tair rahe haiñ titlī kā bahrūp liye
saare rañg utar jā.eñge tum gar haath lagāoge
umr-e-azīz gañvā.ī apnī sāyoñ kā pīchhā karte
saa.e kis ke haath aa.e haiñ aur tum bhī kyā pāoge
chauthe khūñT ko jā to rahe ho lekin ye vo rasta hai
tum ne agar muḌ kar dekhā to patthar ke ho jāoge
sail-e-havādis meñ ham sab ab patthar ban kar zinda haiñ
kaise sher kahoge 'ishqī' kis ko sher sunāoge
kis kis ke aansu puchhoge aur kis kis ko bahlaoge
ek din aaega tum bhi shamil un mein ho jaoge
rang hawa main tair rahe hain titli ka bahrup liye
sare rang utar jaenge tum gar hath lagaoge
umr-e-aziz ganwai apni sayon ka pichha karte
sae kis ke hath aae hain aur tum bhi kya paoge
chauthe khunT ko ja to rahe ho lekin ye wo rasta hai
tum ne agar muD kar dekha to patthar ke ho jaoge
sail-e-hawadis mein hum sab ab patthar ban kar zinda hain
kaise sher kahoge 'ishqi' kis ko sher sunaoge
- Book : Qamat (Pg. 60)
- Author : Shahid Hussain
- Publication : Arshia Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.