kis kis ko main muaf karun sab nashe mein hain
kis kis ko maiñ muaaf karūñ sab nashe meñ haiñ
bande nashe meñ haiñ to yahāñ rab nashe meñ haiñ
ham ne zarā sā sach tirā duniyā jo kah diyā
kahtī ye phir rahī hai ki ham sab nashe meñ haiñ
chalnā sikhā rahe haiñ hameñ ye purāne rind
maktab sabhī nashe meñ haiñ maz.hab nashe meñ haiñ
ham pī ke bhī salīqe se hī laḌkhaḌā.e haiñ
un meñ se ham nahīñ haiñ jo beDhab nashe meñ haiñ
mahñgī agar huī hai to thoḌī sī kyoñ piyeñ
pī kar sharāb muft kī har shab nashe meñ haiñ
saaqī vo rind aur haiñ jin ko nahīñ hai hosh
de ek jaam aur ki ham kab nashe meñ haiñ
merī ġhazal pe aap jo karte haiñ vaah vaah
haiñ aap mere jaise hī matlab nashe meñ haiñ
bose ko tishna-lab bhī haiñ ham donoñ 'āshnā'
ye aur baat donoñ ke hī lab nashe meñ haiñ
kis kis ko main muaf karun sab nashe mein hain
bande nashe mein hain to yahan rab nashe mein hain
hum ne zara sa sach tera duniya jo kah diya
kahti ye phir rahi hai ki hum sab nashe mein hain
chalna sikha rahe hain hamein ye purane rind
maktab sabhi nashe mein hain mazhab nashe mein hain
hum pi ke bhi saliqe se hi laDkhaDae hain
un mein se hum nahin hain jo beDhab nashe mein hain
mahngi agar hui hai to thoDi si kyon piyen
pi kar sharab muft ki har shab nashe mein hain
saqi wo rind aur hain jin ko nahin hai hosh
de ek jam aur ki hum kab nashe mein hain
meri ghazal pe aap jo karte hain wah wah
hain aap mere jaise hi matlab nashe mein hain
bose ko tishna-lab bhi hain hum donon 'ashna'
ye aur baat donon ke hi lab nashe mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.