kis kis ko nazr karta raha hun ye fan tamam
kis kis ko nazr kartā rahā huuñ ye fan tamām
hotā hai par suḳhan ke liye hī suḳhan tamām
kuchh log kam-nazar haiñ kuchh apnā hunar bhī hai
lau bhar dikhā.ī detī hai sab ko jalan tamām
'aql-o-ḳhirad ke bas meñ nahīñ aa sakeñge ham
dīvane-pan se hotā hai dīvāna-pan tamām
ik ḳhauf-e-mushtarak kā hai ye jashn aur kyā
aamad kisī kī bhī ho chahaktā hai ban tamām
ham band kar chuke haiñ faqat phuul bechnā
kāñTe ḳharīd lījiye yā phir chaman tamām
kis kis ko nazr karta raha hun ye fan tamam
hota hai par suKHan ke liye hi suKHan tamam
kuchh log kam-nazar hain kuchh apna hunar bhi hai
lau bhar dikhai deti hai sab ko jalan tamam
'aql-o-KHirad ke bas mein nahin aa sakenge hum
diwane-pan se hota hai diwana-pan tamam
ek KHauf-e-mushtarak ka hai ye jashn aur kya
aamad kisi ki bhi ho chahakta hai ban tamam
hum band kar chuke hain faqat phul bechna
kanTe KHarid lijiye ya phir chaman tamam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.