kis ko aawaz lagata hai bayabanon mein
kis ko āvāz lagātā hai bayābānoñ meñ
dil-e-nādāñ nahīñ rahtā koī vīrānoñ meñ
mauj-dar-mauj hī guzrī hai yahāñ umr apnī
ham ne sāhil nahīñ DhūñDhā kabhī tūfānoñ meñ
lailā majnūñ kī kahānī ho ke farhād kā ġham
qissa apnā hī hai mumtāz sab afsānoñ meñ
thartharātī hai jo rah rah ke ye sham.a-e-saharī
ik talātum sā bapā rahtā hai parvānoñ meñ
dast-e-ḳhvāhish ne diyā kyā mujhe zaḳhmoñ ke sivā
par kamī ab bhī nahīñ aa.ī hai armānoñ meñ
aa.ī āzād havā ho ga.e bechain parind
zikr sayyād kā phir chhiḌ gayā zindānoñ meñ
kis ko aawaz lagata hai bayabanon mein
dil-e-nadan nahin rahta koi viranon mein
mauj-dar-mauj hi guzri hai yahan umr apni
hum ne sahil nahin DhunDha kabhi tufanon mein
laila majnun ki kahani ho ke farhad ka gham
qissa apna hi hai mumtaz sab afsanon mein
thartharaati hai jo rah rah ke ye shama-e-sahari
ek talatum sa bapa rahta hai parwanon mein
dast-e-KHwahish ne diya kya mujhe zaKHmon ke siwa
par kami ab bhi nahin aai hai armanon mein
aai aazad hawa ho gae bechain parind
zikr sayyaad ka phir chhiD gaya zindanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.