kis ko dikhaen sapne apne
kis ko dikhā.eñ sapne apne
sab ke dukh haiñ apne apne
kahne ko to log bahut the
ḳhvāb na bāñTe ham ne apne
tez bahut the havā ke jhoñke
qadam na paa.e jamne apne
saare aañsū pī Daale haiñ
tum ne apne ham ne apne
saath tumhārā raas na aaya
ḳhat meñ likkhā ham ne apne
raste par hai thakan sī taarī
paañv lage haiñ jamne apne
kis ko dikhaen sapne apne
sab ke dukh hain apne apne
kahne ko to log bahut the
KHwab na banTe hum ne apne
tez bahut the hawa ke jhonke
qadam na pae jamne apne
sare aansu pi Dale hain
tum ne apne hum ne apne
sath tumhaara ras na aaya
KHat mein likkha hum ne apne
raste par hai thakan si tari
panw lage hain jamne apne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.