kis ko dikhlaenge wo naz-o-ada mere baad
kis ko dikhlā.eñge vo nāz-o-adā mere ba.ad
hogī kis par ye bhalā mashq-e-jafā mere ba.ad
dekhiye aap bhī afsurda raheñge aksar
yaar aa jā.egī jab merī vafā mere ba.ad
zīnat-e-husn baḌhī ḳhūn-e-jigar se mere
phīkā paḌ jā.egā ye rang-e-hinā mere ba.ad
bārhā arsh-e-barīñ nāla-e-shab se kāñpā
arsh tak jā.egī kab āh-e-rasā mere ba.ad
maiñ chalā jā.ūñgā mahfil se na hoñ aap ḳhafā
kis pe phir hoñge magar aap ḳhafā mere ba.ad
nau-giraftār-e-balā hogā na mujh sā koī
kaun chāhegā tujhe zulf-e-dotā mere ba.ad
uTh gayā ālam-e-fānī se ye kah kar 'aslam'
dekhiye kis kī ab aatī hai qazā mere ba.ad
kis ko dikhlaenge wo naz-o-ada mere baad
hogi kis par ye bhala mashq-e-jafa mere baad
dekhiye aap bhi afsurda rahenge aksar
yar aa jaegi jab meri wafa mere baad
zinat-e-husn baDhi KHun-e-jigar se mere
phika paD jaega ye rang-e-hina mere baad
barha arsh-e-barin nala-e-shab se kanpa
arsh tak jaegi kab aah-e-rasa mere baad
main chala jaunga mahfil se na hon aap KHafa
kis pe phir honge magar aap KHafa mere baad
nau-giraftar-e-bala hoga na mujh sa koi
kaun chahega tujhe zulf-e-dota mere baad
uTh gaya aalam-e-fani se ye kah kar 'aslam'
dekhiye kis ki ab aati hai qaza mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.