kis ko hoga tere aane ka pata mere baad
kis ko hogā tire aane kā pata mere ba.ad
kaun sun pā.egā lamhoñ kī sadā mere ba.ad
jis se yādoñ ke shabistān mahak uThte the
isī ḳhushbū ko tarastī hai sabā mere ba.ad
maiñ to ik raqs thā kuchh rañg-bhare zarroñ kā
raaz ye ahl-e-zamāna pe khulā mere ba.ad
bām-o-dar chīḳhte haiñ reñgtī tanhā.ī meñ
shahr meñ ḳhaak uḌātī hai havā mere ba.ad
hāl-e-dil kis se kahe kis se lipaT kar ro.e
shahr-dar-shahr bhaTaktī hai ghaTā mere ba.ad
koī suntā nahīñ vīrān paḌe haiñ kamre
sar paTaḳhtī hai kivāḌoñ se havā mere ba.ad
'shām' ke sañg se hī chāñdnī shab phūTegī
dar-ba-dar phailtī jā.egī ziyā mere ba.ad
kis ko hoga tere aane ka pata mere baad
kaun sun paega lamhon ki sada mere baad
jis se yaadon ke shabistan mahak uThte the
isi KHushbu ko tarasti hai saba mere baad
main to ek raqs tha kuchh rang-bhare zarron ka
raaz ye ahl-e-zamana pe khula mere baad
baam-o-dar chiKHte hain rengti tanhai mein
shahr mein KHak uDati hai hawa mere baad
haal-e-dil kis se kahe kis se lipaT kar roe
shahr-dar-shahr bhaTakti hai ghaTa mere baad
koi sunta nahin viran paDe hain kamre
sar paTaKHti hai kiwaDon se hawa mere baad
'sham' ke sang se hi chandni shab phuTegi
dar-ba-dar phailti jaegi ziya mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.