kis ko KHabar thi itna badal jaegi zamin
kis ko ḳhabar thī itnā badal jā.egī zamīñ
apnī hadoñ se aage nikal jā.egī zamīñ
baḌhte hī jā rahe haiñ panāhoñ ke silsile
lagtā hai āsmāñ bhī nigal jā.egī zamīñ
behtar yahī hai tum mire qadmoñ se khīñch lo
varna ravā-ravī meñ kuchal jā.egī zamīñ
koī to ho jo ruḳh zarā sūraj kā moḌ de
itnī shadīd dhuup hai jal jā.egī zamīñ
ruk ruk ke kyoñ barastā hai ye abr-e-be-karāñ
kyā tez bārishoñ se pighal jā.egī zamīñ
'sālim' vo chīḳh jo mire siine meñ dafn hai
sun le agar zamīñ to badal jā.egī zamīñ
kis ko KHabar thi itna badal jaegi zamin
apni hadon se aage nikal jaegi zamin
baDhte hi ja rahe hain panahon ke silsile
lagta hai aasman bhi nigal jaegi zamin
behtar yahi hai tum mere qadmon se khinch lo
warna rawa-rawi mein kuchal jaegi zamin
koi to ho jo ruKH zara suraj ka moD de
itni shadid dhup hai jal jaegi zamin
ruk ruk ke kyon barasta hai ye abr-e-be-karan
kya tez barishon se pighal jaegi zamin
'salim' wo chiKH jo mere sine mein dafn hai
sun le agar zamin to badal jaegi zamin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.