kis ko KHabar thi wo bhi mera yar hoega
kis ko ḳhabar thī vo bhī mirā yaar ho.egā
aur turt saath sone ko tayyār ho.egā
kuchh hone aur kuchh bhī na hone ke darmiyāñ
iqrār ho.egā kabhī inkār ho.egā
kholā jo us ne raaz hamārā to besh-o-kam
poshīda is meñ bhī koī asrār ho.egā
gumnām jo bhī rahtā hai izzat usī kī hai
mash.hūr ho.egā to bahut ḳhvār ho.egā
jo kuchh samajh meñ aa.egā ruk jā.egā vahīñ
jo fahm se varā hai vo iz.hār ho.egā
bāhar se jitnī ho.egī ta.amīr sar-buland
andar usī hisāb se mismār ho.egā
rahne kā haq usī ko atā hogā shahr meñ
ab shahr-yār kā jo taraf-dār ho.egā
jo chhup-chhupā ke hotā rahā sab se aaj tak
ab ho.egā to barsar-e-bāzār ho.egā
achchhā nahīñ hai bosa-e-chashm us kā ai 'zafar'
tū rafta-rafta aap hī bīmār ho.egā
kis ko KHabar thi wo bhi mera yar hoega
aur turt sath sone ko tayyar hoega
kuchh hone aur kuchh bhi na hone ke darmiyan
iqrar hoega kabhi inkar hoega
khola jo us ne raaz hamara to besh-o-kam
poshida is mein bhi koi asrar hoega
gumnam jo bhi rahta hai izzat usi ki hai
mashhur hoega to bahut KHwar hoega
jo kuchh samajh mein aaega ruk jaega wahin
jo fahm se wara hai wo izhaar hoega
bahar se jitni hoegi tamir sar-buland
andar usi hisab se mismar hoega
rahne ka haq usi ko ata hoga shahr mein
ab shahr-yar ka jo taraf-dar hoega
jo chhup-chhupa ke hota raha sab se aaj tak
ab hoega to barsar-e-bazar hoega
achchha nahin hai bosa-e-chashm us ka ai 'zafar'
tu rafta-rafta aap hi bimar hoega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.