Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ko KHayal-e-gesu-o-zulf-e-dota nahin

Fazal Husain Sabir

kis ko KHayal-e-gesu-o-zulf-e-dota nahin

Fazal Husain Sabir

MORE BYFazal Husain Sabir

    kis ko ḳhayāl-e-gesū-o-zulf-e-dotā nahīñ

    duniyā meñ kaun hai jo asīr-e-balā nahīñ

    sun kar savāl vo mirā haañ kahne ko the

    shoḳhī ne un se pahle vaañ kah diyā nahīñ

    kahtā hai haath rakh ke mire siine par vo shoḳh

    kambaḳht ab bhī dard-e-jigar kam hai nahīñ

    jis tafta dil ko taakā vahīñ said kar liyā

    tīr-e-nigāh-e-nāz kabhī chūktā nahīñ

    kis se hijāb ḳhāna-e-ḳhalvat meñ karte ho

    ik maiñ huuñ tum ho aur koī dūsrā nahīñ

    pāmāl kar rahe haiñ mirā dil huzūr kyoñ

    kyā jānte nahīñ haiñ ye ghar aap nahīñ

    sog-e-raqīb meñ ye tire dushmanoñ haal

    āñkhoñ meñ surma hāthoñ meñ rang-e-hinā nahīñ

    ā.īna dekh kar tumheñ kyoñ aa gayā hijāb

    tum ho is meñ aur koī dūsrā nahīñ

    'sābir' jo zulf-e-yār ko kahte ho mushk-fām

    mazmūn tum ko aur koī sūjhtā nahīñ

    'sābir' butoñ ko ne dil-o-dīñ jo de diyā

    roz-e-jazā ḳhauf bhī mard-e-ḳhudā nahīñ

    kis ko KHayal-e-gesu-o-zulf-e-dota nahin

    duniya mein kaun hai jo asir-e-bala nahin

    sun kar sawal wo mera han kahne hi ko the

    shoKHi ne un se pahle hi wan kah diya nahin

    kahta hai hath rakh ke mere sine par wo shoKH

    kambaKHt ab bhi dard-e-jigar kam hai ya nahin

    jis tafta dil ko taka wahin said kar liya

    tir-e-nigah-e-naz kabhi chukta nahin

    kis se hijab KHana-e-KHalwat mein karte ho

    ek main hun tum ho aur koi dusra nahin

    pamal kar rahe hain mera dil huzur kyon

    kya jaante nahin hain ye ghar aap ka nahin

    sog-e-raqib mein ye tere dushmanon ka haal

    aankhon mein surma hathon mein rang-e-hina nahin

    aaina dekh kar tumhein kyon aa gaya hijab

    tum hi ho is mein aur koi dusra nahin

    'sabir' jo zulf-e-yar ko kahte ho mushk-fam

    mazmun tum ko aur koi sujhta nahin

    'sabir' buton ko tu ne dil-o-din jo de diya

    roz-e-jaza ka KHauf bhi mard-e-KHuda nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now