kis ko KHushi ke sath gham-e-do-jahan nahin
kis ko ḳhushī ke saath ġham-e-do-jahāñ nahīñ
vo kaun sī bahār hai jis kī ḳhizāñ nahīñ
tūfāñ kī saḳhtiyāñ to koī saḳhtiyāñ nahīñ
ġham ye hai bas meñ kashtī-e-umr-e-ravāñ nahīñ
duniyā ke har charāġh kī lau thartharā ga.ī
itnā asar bhī jis meñ na ho dāstāñ nahīñ
qismat kī har ḳhushī to zamāne ne chhīn lī
phir bhī ye merā zarf hai lab par fuġhāñ nahīñ
aisī jagah pe chhoḌ gayā mīr-e-kārvāñ
manzil kā duur tak kahīñ nām-o-nishāñ nahīñ
kuchh is tarah se mahv-e-ḳhayāl-e-jamāl huuñ
ye hosh hī nahīñ hai kahāñ huuñ kahāñ nahīñ
tujh ko baġhair dekhe uThegī na ye jabīñ
ye dil kā aa.ina hai tirā āstāñ nahīñ
bas do hī din kī shauq bahāreñ chaman meñ haiñ
jis zindagī ko DhūñD rahā huuñ yahāñ nahīñ
kis ko KHushi ke sath gham-e-do-jahan nahin
wo kaun si bahaar hai jis ki KHizan nahin
tufan ki saKHtiyan to koi saKHtiyan nahin
gham ye hai bas mein kashti-e-umr-e-rawan nahin
duniya ke har charagh ki lau tharthara gai
itna asar bhi jis mein na ho dastan nahin
qismat ki har KHushi to zamane ne chhin li
phir bhi ye mera zarf hai lab par fughan nahin
aisi jagah pe chhoD gaya mir-e-karwan
manzil ka dur tak kahin nam-o-nishan nahin
kuchh is tarah se mahw-e-KHayal-e-jamal hun
ye hosh hi nahin hai kahan hun kahan nahin
tujh ko baghair dekhe uThegi na ye jabin
ye dil ka aaina hai tera aastan nahin
bas do hi din ki shauq bahaaren chaman mein hain
jis zindagi ko DhunD raha hun yahan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.