Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ko malum hui izzat-o-shan-e-bulbul

Shah Akbar Danapuri

kis ko malum hui izzat-o-shan-e-bulbul

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    kis ko ma.alūm huī izzat-o-shān-e-bulbul

    kaun hai gul ke sivā martaba-dān-e-bulbul

    gosh-e-gul ne na sunā shor-e-fuġhān-e-bulbul

    ai sabā kyā huī tāsīr-e-zabān-e-bulbul

    aa.ī kyā fasl-e-ḳhizāñ uḌ ga.e murġhān-e-chaman

    miT gayā sūrat-e-gul nām-o-nishān-e-bulbul

    dīd-e-lailā ke liye shart hai chashm-e-majnūñ

    sifat-e-gul ko hai darkār zabān-e-bulbul

    ho gayā barham isī se to mizāj us gul

    jā-ba-jā thā mire dīvāñ meñ bayān-e-bulbul

    gaate haiñ merī ġhazal murġh-e-ḳhush-ilhān-e-chaman

    un ko aatā hai maza hai ye zabān-e-bulbul

    shab ko aatā hai jo mahfil meñ vo gul ai 'akbar'

    ham ko parvānoñ pe hotā hai gumān-e-bulbul

    kis ko malum hui izzat-o-shan-e-bulbul

    kaun hai gul ke siwa martaba-dan-e-bulbul

    gosh-e-gul ne na suna shor-e-fughan-e-bulbul

    ai saba kya hui tasir-e-zaban-e-bulbul

    aai kya fasl-e-KHizan uD gae murghan-e-chaman

    miT gaya surat-e-gul nam-o-nishan-e-bulbul

    did-e-laila ke liye shart hai chashm-e-majnun

    sifat-e-gul ko hai darkar zaban-e-bulbul

    ho gaya barham isi se to mizaj us gul ka

    ja-ba-ja tha mere diwan mein bayan-e-bulbul

    gate hain meri ghazal murgh-e-KHush-ilhan-e-chaman

    un ko aata hai maza hai ye zaban-e-bulbul

    shab ko aata hai jo mahfil mein wo gul ai 'akbar'

    hum ko parwanon pe hota hai guman-e-bulbul

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now