kis ko mili hai gham se rihai hansna aur hansana kya
kis ko milī hai ġham se rihā.ī hañsnā aur hañsānā kyā
sehn-e-chaman meñ phuul kā yaaro khilnā kyā murjhānā kyā
kuchh bhī zamāna kahe zabāñ se majbūr-o-mazlūm kī baat
jis ne miTā lī apnī hastī us kā bhalā afsāna kyā
jaam ko chūmā bhulā diyā ġham jhuum uTThe maḳhmūr hue
chalte phirte pī lete haiñ apne liye mai-ḳhāna kyā
do dil jab bhī kahīñ mile haiñ duniyā jal kar raakh huī
pyaar meñ sab kuchh jalte dekhā sham' kyā parvāna kyā
vaqt-e-musībat kaun kisī ke kaam yahāñ aayā hai 'ḳhizr'
ham ne sab ko dekh liyā hai apnā kyā begāna kyā
kis ko mili hai gham se rihai hansna aur hansana kya
sehn-e-chaman mein phul ka yaro khilna kya murjhana kya
kuchh bhi zamana kahe zaban se majbur-o-mazlum ki baat
jis ne miTa li apni hasti us ka bhala afsana kya
jam ko chuma bhula diya gham jhum uTThe maKHmur hue
chalte phirte pi lete hain apne liye mai-KHana kya
do dil jab bhi kahin mile hain duniya jal kar rakh hui
pyar mein sab kuchh jalte dekha sham' kya parwana kya
waqt-e-musibat kaun kisi ke kaam yahan aaya hai 'KHizr'
hum ne sab ko dekh liya hai apna kya begana kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.