kis ko qarib jaanta hai kaun dur hai
kis ko qarīb jāntā hai kaun duur hai
kyā 'aql kī ḳhatā hai ki dil kā qusūr hai
ham ne kahā na tum ne sunā ek vāqi'a
paḌh likh sake bhī kyā ki jo bainassutūr hai
lamhāt-e-vasl bhī haiñ shab-e-hijr kī tarah
jitnā huā qarīb vo utnā hī duur hai
ham ko hai shauq-e-dīd ham ahl-e-nazar hue
ye tīrgī hamāre liye zill-e-nūr hai
tasvīr jalva-sāz-e-musavvir hai is tarah
merī nigāh muntazir-e-koh-e-tūr hai
haiñ mahfil-e-rumūz meñ 'asrār' jalva-gar
hairāñ na ho ki 'aql junūñ ke huzūr hai
kis ko qarib jaanta hai kaun dur hai
kya 'aql ki KHata hai ki dil ka qusur hai
hum ne kaha na tum ne suna ek waqi'a
paDh likh sake bhi kya ki jo bainassutur hai
lamhat-e-wasl bhi hain shab-e-hijr ki tarah
jitna hua qarib wo utna hi dur hai
hum ko hai shauq-e-did hum ahl-e-nazar hue
ye tirgi hamare liye zill-e-nur hai
taswir jalwa-saz-e-musawwir hai is tarah
meri nigah muntazir-e-koh-e-tur hai
hain mahfil-e-rumuz mein 'asrar' jalwa-gar
hairan na ho ki 'aql junun ke huzur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.