kis ko sunaun haal dil-e-be-qarar ka
kis ko sunā.ūñ haal dil-e-be-qarār kā
miltā nahīñ hai koī bashar e.atibār kā
kaise guzar vahāñ ho sukūn-o-qarār kā
jhagḌā paḌā huā ho jahāñ nūr-o-nār kā
naqd-e-hayāt un kī hai be-masraf-o-fuzūl
jin ko ḳhayāl hī nahīñ apne vaqār kā
ujḌā hai jab se merā nasheman huuñ mutma.in
ḳhatra hī ḳhatm ho gayā barq-o-sharār kā
hai din kī raushnī to kabhī raat kā samāñ
jaarī hai silsila yūñhī lail-o-nahār kā
tausīf us kī merī zabāñ se ho kyā bayāñ
yakjā huā hai husn urūs-e-bahār kā
be-bāl-o-par hai phir bhī banāyā hai āshiyāñ
maqdūr aur kyā thā ġharīb-ud-dayār kā
jān-e-bahār ban ke tasavvur meñ aa ga.e
jab bhī chhiḌā hai tazkira fasl-e-bahār kā
taḳhlīq-e-kā.enāt ke asbāb kuchh bhī hoñ
'ḳhāvar' ye ek shaġhl hai parvardigār kā
kis ko sunaun haal dil-e-be-qarar ka
milta nahin hai koi bashar eatibar ka
kaise guzar wahan ho sukun-o-qarar ka
jhagDa paDa hua ho jahan nur-o-nar ka
naqd-e-hayat un ki hai be-masraf-o-fuzul
jin ko KHayal hi nahin apne waqar ka
ujDa hai jab se mera nasheman hun mutmain
KHatra hi KHatm ho gaya barq-o-sharar ka
hai din ki raushni to kabhi raat ka saman
jari hai silsila yunhi lail-o-nahaar ka
tausif us ki meri zaban se ho kya bayan
yakja hua hai husn urus-e-bahaar ka
be-baal-o-par hai phir bhi banaya hai aashiyan
maqdur aur kya tha gharib-ud-dayar ka
jaan-e-bahaar ban ke tasawwur mein aa gae
jab bhi chhiDa hai tazkira fasl-e-bahaar ka
taKHliq-e-kaenat ke asbab kuchh bhi hon
'KHawar' ye ek shaghl hai parwardigar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.