kis ko washud hui bhar umr hi dil-gir rahe
kis ko vāshud huī bhar umr hī dil-gīr rahe
chaman-e-dahr meñ juuñ ġhuncha-e-tasvīr rahe
lazzateñ dil ne uThā.ī haiñ tirī mizhgāñ se
jab talak dam meñ hai dam siine meñ ye tiir rahe
aañkh lag jaa.e shab-e-ġham meñ koī dam dil kī
Tuk bhī ḳhāmosh agar nāla-e-shabgīr rahe
haal sau tarah se likhkhūñ use ai dīda-e-tar
ḳhushk kuchh bhī jo mirā kāġhaz-e-tahrīr rahe
tā-dam-e-naza.a balā se na chhuTe hai zālim
umr-bhar zulf se us shoḳh kī zanjīr rahe
dekh sūrat ko tirī har but-e-chīñ ne ye kahā
sāmne āñkhoñ ke din-rāt ye tasvīr rahe
haiñ kahāñ terī vo chālākiyāñ ai dast-e-junūñ
jeb 'afsos' kā sad-haif gulū-gīr rahe
kis ko washud hui bhar umr hi dil-gir rahe
chaman-e-dahr mein jun ghuncha-e-taswir rahe
lazzaten dil ne uThai hain teri mizhgan se
jab talak dam mein hai dam sine mein ye tir rahe
aankh lag jae shab-e-gham mein koi dam dil ki
Tuk bhi KHamosh agar nala-e-shabgir rahe
haal sau tarah se likhkhun use ai dida-e-tar
KHushk kuchh bhi jo mera kaghaz-e-tahrir rahe
ta-dam-e-naza bala se na chhuTe hai zalim
umr-bhar zulf se us shoKH ki zanjir rahe
dekh surat ko teri har but-e-chin ne ye kaha
samne aankhon ke din-raat ye taswir rahe
hain kahan teri wo chaalakiyan ai dast-e-junun
jeb 'afsos' ka sad-haif gulu-gir rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.