kis liye dasht mein ghar koi banaya jae
kis liye dasht meñ ghar koī banāyā jaa.e
paas kyā hai jo fasīloñ meñ chhupāyā jaa.e
maiñ jazīra huuñ mirī pyaas bujhāne ke liye
ik samundar mire atrāf bichhāyā jaa.e
kisī sahrā meñ bahā jaa.e nadī kī sūrat
abr ban kar kisī kohsār pe chhāyā jaa.e
roz chaTke kisī ummīd kā ġhuncha dil meñ
roz palkoñ pe koī ḳhvāb sajāyā jaa.e
dukh se jalte hue is daur meñ jiine se baḌā
mo'jiza kaunsā duniyā ko dikhāyā jaa.e
baat kyā hai ki ba-īñ-ḳhvārī-o-āshufta-dilī
chhoḌ kar ham se tirā shahr na jaayā jaa.e
raushnī huuñ to kahā jaa.e charāġh-e-manzil
sang huuñ to mujhe raste se haTāyā jaa.e
pūchhte rahte haiñ ye log na jaane kyā kyā
ham se to naam bhī apnā na batāyā jaa.e
rah ga.ī hai yahī ik ham-safarī kī sūrat
bojh ho ḳhvāh kisī kā bhī uThāyā jaa.e
haa.e ye dhuup machātā huā sāvan jis se
kisī chaTTān pe sabza na ugāyā jaa.e
aaj mar jā.ūñ agar maiñ to 'ajab kyā 'ḳhāvar'
sau baras baa'd mirā sog manāyā jaa.e
kis liye dasht mein ghar koi banaya jae
pas kya hai jo fasilon mein chhupaya jae
main jazira hun meri pyas bujhane ke liye
ek samundar mere atraf bichhaya jae
kisi sahra mein baha jae nadi ki surat
abr ban kar kisi kohsar pe chhaya jae
roz chaTke kisi ummid ka ghuncha dil mein
roz palkon pe koi KHwab sajaya jae
dukh se jalte hue is daur mein jine se baDa
mo'jiza kaunsa duniya ko dikhaya jae
baat kya hai ki ba-in-KHwari-o-ashufta-dili
chhoD kar hum se tera shahr na jaya jae
raushni hun to kaha jae charagh-e-manzil
sang hun to mujhe raste se haTaya jae
puchhte rahte hain ye log na jaane kya kya
hum se to nam bhi apna na bataya jae
rah gai hai yahi ek ham-safari ki surat
bojh ho KHwah kisi ka bhi uThaya jae
hae ye dhup machata hua sawan jis se
kisi chaTTan pe sabza na ugaya jae
aaj mar jaun agar main to 'ajab kya 'KHawar'
sau baras ba'd mera sog manaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.