kis liye gosha-e-aKHbar ye Khaali jae
kis liye gosha-e-aḳhbār ye ḳhālī jaa.e
ik ḳhabar apnī hī shohrat kī banā lī jaa.e
kuchh to āñkhoñ ko nazar aa.e jahān-e-dīgar
kuchh to ab raushnī-e-shauq baḌhā lī jaa.e
dekheñ ahbāb pe kyā radd-e-amal hotā hai
apne mar jaane kī afvāh uḌā lī jaa.e
ham faqīroñ ke liye haath kā apnā takiya
chādar-e-ḳhāk kahīñ par bhī bichhā lī jaa.e
daulat-e-ishq se māmūr hai takiya merā
'ziyā' ahbāb ko ye baat batā lī jaa.e
kis liye gosha-e-aKHbar ye KHali jae
ek KHabar apni hi shohrat ki bana li jae
kuchh to aankhon ko nazar aae jahan-e-digar
kuchh to ab raushni-e-shauq baDha li jae
dekhen ahbab pe kya radd-e-amal hota hai
apne mar jaane ki afwah uDa li jae
hum faqiron ke liye hath ka apna takiya
chadar-e-KHak kahin par bhi bichha li jae
daulat-e-ishq se mamur hai takiya mera
'ziya' ahbab ko ye baat bata li jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.