kis liye puchhte hain jabki sabab jaante hain
kis liye pūchhte haiñ jabki sabab jānte haiñ
log jo hāl-e-dil-e-chāratalab jānte haiñ
kis kī lau Thahartī hai kaun se bujhte haiñ charāġh
ham naqībān-e-havā sab ke nasab jānte haiñ
āshnā laakh mileñ tujh se qarīñ bhī huuñ bahut
jānñe vaale bhī ai dil tujhe kab jānte haiñ
kis ke dhoke meñ raheñ muntazir-e-ḳhvāb-e-hasīñ
ham bhī saada haiñ kahāñ mohlat-e-shab jānte haiñ
saaya tak rakhte haiñ malhūz dabistān-e-vafā
aañkh uThā.eñ bhī to ādāb-o-adab jānte haiñ
kaun kaTh-putlī hai aivān-e-tamāshā kis kā
pas-e-parda to haqīqat yahāñ sab jānte haiñ
kis liye puchhte hain jabki sabab jaante hain
log jo haal-e-dil-e-chaaratalab jaante hain
kis ki lau Thaharti hai kaun se bujhte hain charagh
hum naqiban-e-hawa sab ke nasab jaante hain
aashna lakh milen tujh se qarin bhi hun bahut
jaanne wale bhi ai dil tujhe kab jaante hain
kis ke dhoke mein rahen muntazir-e-KHwab-e-hasin
hum bhi sada hain kahan mohlat-e-shab jaante hain
saya tak rakhte hain malhuz dabistan-e-wafa
aankh uThaen bhi to aadab-o-adab jaante hain
kaun kaTh-putli hai aiwan-e-tamasha kis ka
pas-e-parda to haqiqat yahan sab jaante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.