kis lutf se mahfil mein biThae gae hum log
kis lutf se mahfil meñ biThā.e ga.e ham log
kyā raaz thā ḳhātir meñ jo laa.e ga.e ham log
sham.eñ tirī yādoñ kī jalā.e ga.e ham log
ashkoñ ke ḳhazāne the luTā.e ga.e ham log
sar naqsh-e-kaf-e-pā pe jhukā.e ga.e ham log
yuuñ rasm-e-vafā un se banā.e ga.e ham log
ġhairoñ ne murattab kiye afsāne sitam ke
afsānoñ ke unvān banā.e ga.e ham log
haiñ morid-e-ilzām hamīñ terī nazar meñ
duniyā kī ḳhatāoñ pe satā.e ga.e ham log
go ham na rahe rah gayā afsāna hamārā
maazī kī tarah ho ga.e aa.e ga.e ham log
ham miT ga.e duniyā se to samjhī hameñ duniyā
kho.e ga.e ham log to paa.e ga.e ham log
achchhe rahe vo log jo bande the havas ke
ādāb-e-mohabbat meñ miTā.e ga.e ham log
kuchh aise gire 'saif' nigāhoñ se ham un kī
jis bazm meñ bhī pahuñche uThā.e ga.e ham log
kis lutf se mahfil mein biThae gae hum log
kya raaz tha KHatir mein jo lae gae hum log
shamen teri yaadon ki jalae gae hum log
ashkon ke KHazane the luTae gae hum log
sar naqsh-e-kaf-e-pa pe jhukae gae hum log
yun rasm-e-wafa un se banae gae hum log
ghairon ne murattab kiye afsane sitam ke
afsanon ke unwan banae gae hum log
hain morid-e-ilzam hamin teri nazar mein
duniya ki KHataon pe satae gae hum log
go hum na rahe rah gaya afsana hamara
mazi ki tarah ho gae aae gae hum log
hum miT gae duniya se to samjhi hamein duniya
khoe gae hum log to pae gae hum log
achchhe rahe wo log jo bande the hawas ke
aadab-e-mohabbat mein miTae gae hum log
kuchh aise gire 'saif' nigahon se hum un ki
jis bazm mein bhi pahunche uThae gae hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.