kis moD par le aae hain yaadon ke silsile
kis moḌ par le aa.e haiñ yādoñ ke silsile
ab jo bhī chāhe ham ko vo jis samt le uḌe
yuuñ dard ne rakhā mire siine pe ik qadam
jaise tamām ho ga.e chāhat ke marhale
vo chhoḌ kar gayā jo mire dil ke shahr ko
us shaḳhs kī talāsh meñ raste nikal paḌe
us bhuul jaane vaale ko ā.eñge yaad ham
Dhakkan nahīñ khuleñge jabhī martabān ke
dīmak-zada daraḳht ke saa.e meñ baiTh kar
us ne tamām dukh mirī jholī meñ rakh diye
kis moD par le aae hain yaadon ke silsile
ab jo bhi chahe hum ko wo jis samt le uDe
yun dard ne rakha mere sine pe ek qadam
jaise tamam ho gae chahat ke marhale
wo chhoD kar gaya jo mere dil ke shahr ko
us shaKHs ki talash mein raste nikal paDe
us bhul jaane wale ko aaenge yaad hum
Dhakkan nahin khulenge jabhi martaban ke
dimak-zada daraKHt ke sae mein baiTh kar
us ne tamam dukh meri jholi mein rakh diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.