kis ne is dasht mein ghar-bar luTana hai miyan
kis ne is dasht meñ ghar-bār luTānā hai miyāñ
aise vīrāne ko ham ne hī sajānā hai miyāñ
aap se kis ne kahā aap bhī bārish māñgeñ
aap kā kaam faqat aag lagānā hai miyāñ
in bhaḌakte hue jazbāt pe qaabū rakhiye
ham ne stage pe kuchh aur dikhānā hai miyāñ
dostī hotī to phir sab ko batāte phirte
ye mohabbat hai ise sab se chhupānā hai miyāñ
na munāfiq ho na aatī hai ḳhushāmad tum ko
tum ne kyā ḳhaak yahāñ naam kamānā hai miyāñ
aap se kaun kare bahs sar-e-bazm-e-raqīb
aap ne ham pe hī ilzām lagānā hai miyāñ
aao sar rakh lo baḌā chain milegā 'faisal'
ye tavā.if kā nahīñ yaar kā shāna hai miyāñ
kis ne is dasht mein ghar-bar luTana hai miyan
aise virane ko hum ne hi sajaana hai miyan
aap se kis ne kaha aap bhi barish mangen
aap ka kaam faqat aag lagana hai miyan
in bhaDakte hue jazbaat pe qabu rakhiye
hum ne stage pe kuchh aur dikhana hai miyan
dosti hoti to phir sab ko batate phirte
ye mohabbat hai ise sab se chhupana hai miyan
na munafiq ho na aati hai KHushamad tum ko
tum ne kya KHak yahan nam kamana hai miyan
aap se kaun kare bahs sar-e-bazm-e-raqib
aap ne hum pe hi ilzam lagana hai miyan
aao sar rakh lo baDa chain milega 'faisal'
ye tawaif ka nahin yar ka shana hai miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.